Window Ads by Google

Friday 30 June 2017

Lateef Salman's Tanhayee



www.Lscomputertricks.blogspot.in Learn Computer Corse Free Of Cost Click Here


Lateef Salman's Tanhayee

In The Name Of Allah Most Gracious Most Merciful

As Salamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu

TANHAYEE WRITTEN BY : LATEEF SALMAN


               Posted by lateefsalmans@gmail.com on June 28, 2011 at 6:57 AM                                              


                                               Lateef Salman 9849330092 9848915063

                                                     DATE:   02-02-1998    FRIDAY      

            Wo Bahar Ka Kubsurat Din Tha Jab Main TumseMila Tha Kitne Haseen They Wo
Din Jab Tum Mere Saath Howa Karti Thi KitneDilkush They Wo Din Jab Tum Meri
Panah Mein Thi Jidhar Meri Nigahein Tum hi TumNajar Ati Thi Manjil Ke Chund Hi
Khadam Door Tha Mere Dil Mein Tumhein PanekiChahat Jagi Thi Aur Main Waqt
Har Ghadi Har Lamha Har Pal Tumhe Yaad Kiya KartaTha.
     
                  Aur Jab Main Khali Hota Hoonto Achanak Aapka Sarapa Mere Tasauor Mein Aa
Dhamakta Hai Main Bechain-o-Beqharar Hojata HoonAur Mere Dil Ne Bar Bar Ise
Agahi Di ke Pagal isika Naam Pyaar o Mohabbat HaiMere Dil Mein Gyir Mahsoos
Tarikhe se Abasa Hai Aur Main Kabhi KabhiSonchta Hoonke
     
            Mere Pass Phoolonka Libas Hota to MeriJaan Main usey Tere Najar KartaKounke
Tum Phoolonse ziyada Narm o Nazuk hoKomal ho Haseen ho Dilkash ho Khubsoorat ho
       BoloKya Naam Doon Tumhe Agar Bele ki Kaliyaan Mere Pass Hoto MainTumhare
SiyaBaloon Mein Sajata Agar Mere Pass Aasman Ka Zar Nigar Farsh

Hota To Tumhare Khadmoon Mein DaltaTumhari Doosti Chad keKirnoose Zyada
Raushan Tumhara Khuloos Phoolon se Zyada Narm Aur Aap NaamGeetse Zyada
Sundar Hai Maineto Hamesha Aapke Sung Chaha Hai.         

                                 AurMere Ghar ke Aangan Mein Mohabbat ki Kushbu Bikheirni Hai bar
barTumhara NaamMere Zahen ke Ufaqh Per Aadhamakta Hai Aur Tumhari Shoq Ankhein
Tasauor keParde Par Jholmulateen Tumhare Bhare Bhare Laboon Ki Muskurahat Aakhoonki
PatliyoonPar Taher Jati Aur JANU Ke Lafz Jaise Tumhari Shakl-o Surat Eqtiyaar KarleteHain
    
      JANU Main Tumse kisi Mohabbat ka Dawa to Nahin Karta Magar MainYe zaroor
kaha tha Aap ko Dekh kar Yoon Mahsoos Hota Hai ke Aap Wahi Hai JiskiMujhe
Barsoonke Talaash Hai Yoonto Zindagi Aapke Bagair Bhi Guzar jayegi
Per Aapka Saath ho toZindagiki Qhoshiyaan Aur Bahuthse Namumkin Aarzoon
Ko Pura Karsakta hai
      JANU Mainto Har Waqt isi Soonch Mein Dooba Rahta Hoon ke Khaub Bunnato
Ladkiyoon ke Kaam Hai Laikin Main Apna Khab Jazeere Umagoonse Saja Rakhkha
HaiAur Main Shiddath se is baath ka Muntazir Tha ke kab Tum
Mere Khab jazeera MeinHaqeeqath Bankar Aaoge.
                                                                                                                         
      JAANU  Jis Din Bhi Mujhe Tumse Baat Hoti Thi ToSohchta Tha ke Jo insaan Ne
Soonchaho Zindagike Kisi Modhpe Jab Kabhibhi Aap seGuftaguho to Koun Na
Chahegake aisi guftagu itniTaveel hojayeke Zindagi Khatam Hojaye Magar
Baath Khatamho
      JANU Main Zindagi Mein Har DinHar Pal Har Lamha Aaphike Tasauoor Mein Rahtatha Aur In Tasauooratse Mere DilkoTaskeen Mahsoos Hotithi Mujhe Ek Kushgawaar Mashgal Haath Asjatatha.
      LAIKIN JANU  Jabse TumMeri Zindagise Door Nikalgai Mera dil Veeran Hochukahai
yakeen Karo  JANU Mujhe Zindagiki Haqeeqi Khushiyaan PhirNaseeb
Nahin Howe Yaadonke NehaKhanoomein Tumhari Mohabbat ke Diye Abbhi
Raushan Hai Tumse Juda hone ke baadwo dilkashi wo Renayee Nahin milsaki .
      JANU Tum Mujhse Doorho BahutDoor Mujhe Baharoonke Khubsoorat Din
Bhai Khajaanke se Lagte Hain Ek hi Rah keHum Do Musafir Chund Khadam chale Aur Bichadgaye Kiyon JANU Akhar Kiyon
      Abto Mausame Bahaarki Hawayein bhi Mujhe Sholoon ki Aanch sekam nahi 
Lagte Main Bikhar Gaya HoonLaikin Mujhe Sametne ke liye Tumne Apna Daaman
Bhi na Bichaya Dilke Zakham abDasne Lage Hain .                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                       Ye Bhi Maloom hai MazeeHo Na Aaoge Tum Kabhi. 
       Phir  Bhi Umeed  Ki  Ek Shamma  Jala  Dete Hain.

      Kayee Lamhe Itne Zalim Hote Hain ke Hume Mukammal Taur se ApniGiraft Mein
Leletehain Ye Lamhe Goya Soboon per Bhari Aur Tamaam zisth kaMahwar Bankar
Rahjate Hain Aur Kabhi Kabhi Aisa Waqt Ajatahai ke Zingagi keFaisle KudBa kud
Hote Chale Jate Hain Insaan Soonchte Rahjata Hai

      LAIKIN JANU Mujhe Aaj BhiMahsoos Hota Hai ke Tum Mere Kareeb hoBilkul
Kareeb Ruhke Aass Pass Bilkul Isi Tarha Jaise Tum Pahli Baar Maniyamchalka
Mein Mile They Aur Apni Mulqaat Taveel Hoti Gayee Aur  Pasandgee ka Raasta
Kud ba kud Banta gayaTumhari Jheelsi Gahree Aakhoon Mein Meri Parchayeeyan
Nazar Anelage Thi AurMere Dil ke Aangan Mein tum Bahar ka Naram Hawa ka 
Jhoonka Bunke chagayee Thi.

       Na ghabra Joshe Toofan Se Qhuda Per Chode Kashti.
       PahonchHi Jayegi Manzil Per Ger Kismat Hi Sahil Hai

  Janu agarTera Saat Na Milta to Mujhe Kabhi Zindagiki Haqeeqi Khushiyaan Mayassar na HotiKhamoosh se Apne Khaboonko Haqeeqat ke Roop Dene Laga Tha
Har Lamha
Har Ghadi
Har Pal

Tum Meri Zindagi Mein Samati ChaligayeenAur Main Chupke Chupke Tumko
Dil Mein Utaarta Chalagayaa.
       KyaKismat Pai Hai Maine Jab Zindagi Mein kisilo kuch Dena chaha Wo
lene Se InkaarKardiya Aur Jab Kuch Lena Chaha Wo Dene se Inkaar Kardiya.
     
     Aur Mere Dil keKone mein Is Waqt
Aisi Mahroomi thi
Aisi Ahsaas Shaguftagi thi
Aisi Yass-o-Hasrath thi

       LagataHai Jaise Zindagi Ke Maiyene Khatam Hochuke Hain gali se
Nikalte Hoye ek AqriNajar is Chaukhat Per Dali Jis Chaukhat per Maine Mohabbat Bhare
Sajde keye the Aqeedat Aur Chahath ke Najrane Peshkiye the Aaj isi Chaukhat
Ke Darwaaze mere liye Bundh Hogoye the Hamesha keliye Bundh .                                        
       Main Thake Bhujhal Khadmoo se GaliseNikalta Chala gaya Phir Bhi Maine
Ek Martaba Tumse Milna Chaha Magar TumneInkaar Kardiya Phir Main Wapass
Apni Arzooun Tamannaoon ka Janazaa lekar GaliseGuzarta Howa Nikal gaya.
       Kitna AjeebIttefaqh Tha Is Waqt Is waqt Maine Muskurate howe Aapke
Aage tha Par Mere DilMein Ek gahri Chut Lagi Thi Mera dil Bahut Udaas hochuka
Tha Aur Main UparhiUpar Muskuraraha Tha. 
     
       Junu Na janekabtak Sadkoonper Aawara Soonchoon  
  keSaath Phir Marraha tha Zahen Mein junoon ki si Kaifeeyat Tari Hoyi thi Main
isiJunooni HalatMein Apne Ghar ki Taraf Chal pada Tha.
       Aur Main Apne Khamoosh Daro-deewaar koHasrat Bhari Nigahoonse
Dekha Jahaan Tum Rahti Thi Is Ghar ke Kone kone MeinTeri Yaad Basi Hoyi
Thi Aur Mujhe Sab Kuch Yaad Araha Tha.
Tera Ruthna
Tera Manana
Tera Ghussa
Tera Pyaar
Tera Mujhse Batein Karna
     
        Wo Masoom sa Chahera
       Wo Pyari Jheelsi Aakhein
       Wo Tera Mujhse Sharmana

      WoTera Masoom Chahra Jo Kabhi Maine Pyaar se Choma Karta Tha Ek Saath Rahne kewade Kiye The  Wo Sub Kuch Mere Zahin Anelge The Najane Kitni Der Main
Isi Soonch Mein Dooba Raha Tha ke Waqt kaKuch Pata hi Nahin Chala Tha.
      JabThoda se Hosh Ayato Dekha to Raat Dobchuki thi Raat Jitni Tareek Hoti
Hai Subha itnihi Raushan Hoti Hai MereDard ki Thess Uthi Meri Duniyaan Per Chayee
Kali Raath ki Ab Sahir Na Hogi Mere AassPass Phailte Adhere Kabhi Ujale le kar na
Ayenge Mere Mann Mein Uthrahi Dard kiThess Shadeed Tareen Hogayee .
      JANU  Naam ki jo Ladki Mujhe Ittefaqse Mili ThiKisi Widwa Hoto Mausam ki Tarah MujhseJuda Hogayee
Mujhse Hameshake liye Bichadgayee
Iske Bichadne kaGham kamnahoga
Zindagi bharMujhe Tera Gham Rolatarahega
Zindagi bharMujhe Teri Yaad Satayegi.

      Wo Ladki Kabhi Jaan se Pyari Thi Par Aaj Wo Tez ThappadooneAshiyane
keTinke Bikherne Mein Koi Kasar Na Choodi Thi. Phir Bhi Maine TeriYaad Mein
Har Mumkin Koshish ki ke Main Tea kisi Tarha Pata Laga Mein KamiyaabHogauoonga
Maine Muraqeebe Kiye The Magar Apni Tamam Salahiyatein BoroakarSabith Hoyi Thi.

        Palat Kar Dekha To
        Guzrte Waqtoon ke QhabSare
        Kitabe Hasti ke BaabSare
        Dhowaan Dhowaan The

Ye Adhuri Mohabbatein Kitne Dukh Dedi Hain Jaise Insaan KhalaMein
Mutalloq Hogayaho.
        Jahaan Na Zameen ki Kashish Hai
      
        Aur Na Aasman ki kashish Hai
        KoiBhi Raasta Nahin Niklega
        JinLoogonko Adhori Mohabbatein Mili Hoon
        WoAdhore hi Rahjate Hain
        inkiApni Koi Shakshiyat Nahi Hoti
        Nahiin Mein Koi Faisla Karneke Haunsla Rahta Hai.